zard mausam ki hawaon mein khaDa hun main bhi
aur is soch mein gum hun ki hara hun main bhi
sun ke har shaKHs kuchh is tarah guzar jata hai
jaise girte hue patton ki sada hun main bhi
meri aawaz-e-shikasta ki sataish na karo
apni aawaz ki lahron mein chhupa hun main bhi
tujh ko taKHliq kiya main ne ki mujh ko tu ne
kaun KHaliq hai yahi soch raha hun main bhi
wo jo tufan-e-KHudi le ke baDa hai 'abid'
us ko malum nahin koh-e-ana hun main bhi
Ghazal
Zard mausam ki hawaon mein khaDa hun main bhi
Abid Karhani