zard gulabon ki KHatir bhi rota hai
kaun yahan par maile kapDe dhota hai
jis ke dil mein hariyali si hoti hai
sab ke sar ka bojh wahi to Dhota hai
sathi logon mein gahrai hoti hai
ye Dube to pani gahra hota hai
sadiyon mein koi ek mohabbat hoti hai
baqi to sab khel tamasha hota hai
dukh hota hai waqt-e-rawan ke Thaharne se
KHush hone ko wahi bahana hota hai
sharmate rahte hain gahre log sabhi
dariya bhi to pani pani hota hai
nur Tapakta hai zalim ke chehre se
dekho to lagta hai koi sota hai
Ghazal
Zard gulabon ki KHatir bhi rota hai
Zaheer Rahmati