اردو हिंदी
Zard chehra hai mera zard bhi aisa-waisa | Shaahi Shayari
zard chehra hai mera zard bhi aisa-waisa

Ghazal

Zard chehra hai mera zard bhi aisa-waisa

Komal Joya

;

zard chehra hai mera zard bhi aisa-waisa
hijr ka dard hai aur dard bhi aisa-waisa

aisi ThanDak ki jami barf har ek KHwahish par
sard lahja tha koi sard bhi aisa-waisa

ab use fursat-e-ahwal mayassar hi nahin
wo jo hamdard tha hamdard bhi aisa-waisa

yani is dhul ke chhuTne pe bhi ilzam-e-junun
koi tufan hai pas-e-gard bhi aisa-waisa

puri basti mein bas ek shaKHs se nisbat mujh ko
mujh se munkir hai wo ek fard bhi aisa waisa

ishq ne rail ki paTri pe liTaya jis ko
tha jawan-mard jawan-mard bhi aisa-waisa

kya tujhe hijr ke aazar batae 'komal'
tu to be-dard hai be-dard bhi aisa-waisa