zara socha to kya kya zehn se manzar nikal aae
mere ehsas ke kuchh khanDaron se ghar nikal aae
lagen dene sabaq wo phir parindon ko uDanon ka
zara se shahr mein jab chintiyon ke par nikal aae
ye aalam hai ki jab bhi ghar mein kuchh DhunDne baiTha
purane kaghazon se yaad ke manzar nikal aae
laga jab yun ki uktane laga hai dil ujalon se
use mahfil se us ki alwidaa kah kar nikal aae
dikhai de kabhi ye moajiza bhi mujh ko ulfat mein
kisi shab chand ban kar wo meri chhat par nikal aae
mile hain zaKHm jab se 'shoKH' wo gulshan se barta hai
bharosa kuchh nahin kis phul se patthar nikal aae
Ghazal
Zara socha to kya kya zehn se manzar nikal aae
Parvindar shokh