zara si der thi bas ek diya jalana tha
aur is ke baad faqat aandhiyon ko aana tha
main ghar ko phunk raha tha baDe yaqin ke sath
ki teri rah mein pahla qadam uThana tha
wagarna kaun uThata ye jism o jaan ke azab
ye zindagi to mohabbat ka ek bahana tha
ye kaun shaKHs mujhe kirchiyon mein banT gaya
ye aaina to mera aaKHiri Thikana tha
pahaD bhanp raha tha mere irade ko
wo is liye bhi ki tesha mujhe uThana tha
bahut sambhaal ke laya hun ek sitare tak
zamin par jo mere ishq ka zamana tha
mila to aise ki sadiyon ki aashnai ho!
taaruf us se bhi haalanki ghaebana tha
main apni KHak mein rakhta hun jis ko sadiyon se
ye raushni bhi kabhi mera aastana tha
main hath hathon mein us ke na de saka tha 'shumar'
wo jis ki muTThi mein lamha baDa suhana tha
Ghazal
Zara si der thi bas ek diya jalana tha
Akhtar Shumar