zara si der jo KHauf-e-dawam KHatm hua
ye mat samajh ki ye hu ka maqam KHatm hua
kahan gaya jaras-e-karbala bula ke mujhe
ki raste mein mera ghar tamam KHatm hua
na teri pyas ne dariyaon se hi baiat ki
na paniyon pe likha tera nam KHatm hua
daraKHt sare sameTe hue hain shaKH-e-KHulus
chalo ki pahle safar ka qayam KHatm hua
chunega soKHta KHemon ki rakh aur koi
laga ke aag hawa ka to kaam KHatm hua
sar-e-ufuq koi tara na be-nawa koi chiKH
ye kin tabahiyon pe ranj-sham KHatm hua
Ghazal
Zara si der jo KHauf-e-dawam KHatm hua
Musavvir Sabzwari