zara si baat pe naraazgi agar hai yahi
to phir nibhegi kahan dosti agar hai yahi
tumhein dua bhi hum aasudgi ki kaise den
jo hum ne dekhi hai aasudgi agar hai yahi
hamein bikharna to hai kal nahin to aaj sahi
hamara kya hai tumhaari KHushi agar hai yahi
abhi na-jaane hamein kitne dost khone paDen
hamari baaton mein be-saKHtagi agar hai yahi
main dil mein rakhta nahin munh pe saf kahta hun
kami ye mujh mein hai be-shak kami agar hai yahi
jo rah bhaTkun to us ki gali mein aa niklun
KHusha-nasib meri gumrahi agar hai yahi
misal deni to apni hi zat ki deni
to phir ghurur hai kya aajizi agar hai yahi
Ghazal
Zara si baat pe naraazgi agar hai yahi
Murtaza Birlas