zara si baat pe itna jalal kyun aaya
talluqat ke shishe mein baal kyun aaya
kisi buzurg ki sohbat hai tum ko kya malum
mere mizaj mein ye e'tidal kyun aaya
zamin pe aa gaya maghrur ye KHabar bhi hai
taraqqiyat ko us ki zawal kyun aaya
use ganwane ka pachhtawa gar nahin tujh ko
teri zaban pe lafz-e-malal kyun aaya
chalo ye mana shikari nahin hai sufi hai
baghal mein apni daba kar wo jal kyun aaya
bichhaD ke bhi to tasawwur mein tere aaunga
magar bichhaDne ka tujh ko KHayal kyun aaya
jo ahl-e-hosh ko diwana hi banata hai
nazar ke samne wo ba-kamal kyun aaya
gaya tha soch ke mil kar hi us se aaunga
'nazir' lauT ke itna niDhaal kyun aaya
Ghazal
Zara si baat pe itna jalal kyun aaya
Nazeer Meeruthy