اردو हिंदी
Zara se gham ke liye jaan se guzar jaana | Shaahi Shayari
zara se gham ke liye jaan se guzar jaana

Ghazal

Zara se gham ke liye jaan se guzar jaana

Shakeel Azmi

;

zara se gham ke liye jaan se guzar jaana
mohabbaton mein zaruri nahin hai mar jaana

kabhi lihaz na rakhna kisi riwayat ka
jo ji mein aaya use hum ne mo'atabar jaana

wo ret ret faza mein teri sada ka sarab
wo be-irada mera rah mein Thahar jaana

tamam raat bhaTakna tere taaqub mein
tere KHayal ki sab siDhiyan utar jaana

wo man mein chor liye phirna tere sae ka
gali ke moD pe diwar-o-dar se Dar jaana

'shakil' ganw ke sab log so gae honge
ab itni raat ko achchha nahin hai ghar jaana