اردو हिंदी
Zara na hum pe kiya eatibar guzri hai | Shaahi Shayari
zara na hum pe kiya eatibar guzri hai

Ghazal

Zara na hum pe kiya eatibar guzri hai

Syed Hamid

;

zara na hum pe kiya eatibar guzri hai
ye ruh jism se begana-war guzri hai

hamein guman bhi na tha un ki tab-e-nazuk par
zara si baat sataish ki bar guzri hai

KHirad ke zor se himmat ke baal-o-par le kar
kahan kahan se ye musht-e-ghubar guzri hai

kaTega kaise ye viran be-sahaara din
abhi to sirf shab-e-intizar guzri hai

badun-e-zaKHm na roenge panw ke chhaale
bahe sarishk jahan nok-e-KHar guzri hai

kahan hai aariz KHurshid-e-nim-roze ki umr
miyan-e-kakul-e-shab-ha-e-tar guzri hai

chhupa labon pe tabassum ayan jabin pe shikan
hansi ki baat unhen nagawar guzri hai

gai jidhar se wo madhosh ho gai mahfil
magar wo shoKH nazar hoshiyar guzri hai

aqab mein apne chhupae hazar-ha paikan
nazar ke samne mizhgan-e-yar guzri hai

hujum-e-shauq ke hathon gale pe 'hamid' ke
na puchhiye jo dam-e-iKHtisar guzri hai