zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko
abhi dohra rahi hai KHud hamari dastan hum ko
kisi ko kya KHabar patthar ke pairon par khaDe hain hum
sadaon par sadaen de rahe hain karwan hum ko
hum aise surma hain laD ke jab haalat se palTe
to baDh ke zindagi ne pesh kin baisakhiyan hum ko
sambhaala hosh jab hum ne to kuchh muKHlis azizon ne
kai chehre diye aur ek patthar ki zaban hum ko
uTha hai shor KHud apne hi andar se magar akasr
dahal ke band kar lena paDi hain khiDkiyan hum ko
hum apne jism mein bikhre hue hain ret ki surat
sameTengi kahan tak zindagi ki muTThiyan hum ko
bichhaD ke bhiD mein KHud se hawason ka wo aalam tha
ki munh khole hue takti rahin parchhaiyan hum ko
Ghazal
Zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko
Aziz Bano Darab Wafa