zara mausam to badla hai magar peDon ki shaKHon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge
bahut se zard chehron par ghubar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskurane mein abhi kuchh din lagenge
kabhi hum ko yaqin tha zoam tha duniya hamari jo muKHalif hai to ho jae magar tum mehrban ho
hamein ye baat waise yaad to ab kya hai lekin han ise yaksar bhulane mein abhi kuchh din lagenge
jahan itne masaib hon jahan itni pareshani kisi ka bewafa hona hai koi saneha kya
bahut maqul hai ye baat lekin is haqiqat tak dil-e-nadan ko lane mein abhi kuchh din lagenge
koi TuTe hue shishe liye afsurda-o-maghmum kab tak yun guzare be-talab be-arzu din
to in KHwabon ki kirchen hum ne palkon se jhaTak din par nae arman sajaane mein abhi kuchh din lagenge
tawahhum ki siyah shab ko kiran se chaak kar ke aagahi har ek aangan mein naya suraj utare
magar afsos ye sach hai wo shab thi aur ye suraj hai ye sab ko man jaane mein abhi kuchh din lagenge
purani manzilon ka shauq to kis ko hai baqi ab nai hain manzilen hain sab ke dil mein jin ke arman
bana lena nai manzil na tha mushkil magar ai dil nae raste banane mein abhi kuchh din lagenge
andhere Dhal gae raushan hue manzar zamin jagi falak jaga to jaise jag uTThi zindagani
magar kuchh yaad-e-mazi oDh ke soe hue logon ko lagta hai jagane mein abhi kuchh din lagenge
Ghazal
Zara mausam to badla hai magar peDon ki shaKHon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge
Javed Akhtar