اردو हिंदी
Zara kijiye ghaur hazrat-salamat | Shaahi Shayari
zara kijiye ghaur hazrat-salamat

Ghazal

Zara kijiye ghaur hazrat-salamat

nayan sukh

;

zara kijiye ghaur hazrat-salamat
ye kya sikha hai taur hazrat-salamat

munasib nahin hum gharibon ke upar
karo is qadar jaur hazrat-salamat

tumhein chhoD kar ab kahen dard kis se
hai koi dusra aur hazrat-salamat

nahin jaante tum siwa hum kisi ko
hamare ho sarmaur hazrat-salamat

har ek dane mein dil paDe dekhta hun
zahe pahunche billor hazrat-salamat

isi aastane baghair hum ko jag mein
nahin hai kahin Thaur hazrat-salamat

lagai hai sandal ki tum ne jabin par
qayamat hai ye ghor hazrat-salamat

nahin bolte hum se so kya sabab hai
ye kah dije fil-faur hazrat-salamat

najibon se kyun kar KHushi ho tumhaari
kaminon ka hai daur hazrat-salamat

bas ab kijiye muaf dekhen tamasha
nikalti hai gangor hazrat-salamat