zara bhi jis ki wafa ka yaqin aaya hai
qasam KHuda ki usi se fareb khaya hai
har ek kafir-o-momin ke kaam aaya hai
wo har maqam jahan main ne sar jhukaya hai
bahut ghurur tha hosh-o-hawas par lekin
nazar jab un se mili hai to hosh aaya hai
kabhi hujum-e-alam mein bhi muskuraya hun
kabhi KHushi ke bhi aalam mein ji bhar aaya hai
anis-e-dard-e-judai tera karam bhi nahin
tera sitam bhi to rah-rah ke yaad aaya hai
udas dekh ke mujh ko udas baiThe hain
tamam umr ka gham aaj ras aaya hai
'shamim' mauj o talatum se kya gila kije
safina ain kinare pe Dagmagaya hai

Ghazal
Zara bhi jis ki wafa ka yaqin aaya hai
Shamim Jaipuri