zar-e-sarishk faza mein uchhaalta hua main
bikhar chala hun KHushi ko sambhaalta hua main
abhi to pahle paron ka bhi qarz hai mujh par
jhijak raha hun nae par nikalta hua main
kisi jazira-e-pur-amn ki talash mein hun
KHud apni rakh samundar mein Dalta hua main
phalon ke sath kahin ghonsle na gir jaen
KHayal rakhta hun patthar uchhaalta hua main
ye kis bulandi pe la kar khaDa kiya hai mujhe
ki thak gaya hun tawazun sambhaalta hua main
wo aag phaili to sab kuchh siyah rakh hua
ki so gaya tha badan ko ujalta hua main
bichhaD gaya hun KHud apne maqam se 'shahid'
bhaTakne walon ko raste pe Dalta hua main
Ghazal
Zar-e-sarishk faza mein uchhaalta hua main
Shahid Zaki