zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha
koson dur se babul ka raushan minar chamakta tha
ghaar ki rangin taswiron ko aur zamane dekhenge
hum ne bas wo naqsh kiya jo us lamhe ban sakta tha
ek shaffaf dariche mein kuchh rang birange manzar the
gul-danon mein phul farozan aatish-dan bhaDakta tha
main jis masnad par tha wo to ek goshe mein rakkhi thi
aur daricha chupke se manzar ki samt sarakta tha
barish chhappar tez hawaen misri jaise sindhi git
yar sarae ke chulhe par miTha qahwa pakta tha
jangal ganw parinde insan qisse mein sab lakhon the
sayyare ka suraj lekin tanhai mein yakta tha
Ghazal
Zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha
Ahmad Jahangeer