zanjir to pairon se thakan bandhe hue hai
diwana magar sar se kafan bandhe hue hai
KHushbu ke bikharne mein zara der lagegi
mausam abhi phulon ke badan bandhe hue hai
dastar mein taus ke par bandhne wala
gardan mein masail ki rasan bandhe hue hai
shayad kisi majzub-e-mohabbat ko KHabar ho
kis sehr se dharti ko gagan bandhe hue hai
mearaj-e-aqidat hai ki tawiz ki surat
bazu pe koi KHak-e-watan bandhe hue hai
suraj ne andheron ki nazar bandh ke puchha
ab kaun ujalon ka suKHan bandhe hue hai
Ghazal
Zanjir to pairon se thakan bandhe hue hai
Anjum Barabankvi