zanjir kaT ke kya giri aadhe safar ke bich
main sar pakaD ke baiTh gaya rahguzar ke bich
utra lahad mein KHwahishon ke sath aadmi
jaise musafiron-bhari naw bhanwar ke bich
dushman se kya bachaengi ye jhaDiyan mujhe
bachte nahin yahan to payambar shajar ke bich
jitna uDa main utna ulajhta chala gaya
ek tar-e-kam-numa tha mere baal-o-par ke bich
dete ho dastaken yahan sar phoDte ho wan
kuchh farq to rawa rakho diwar-o-dar ke bich
ghar se chala to ghar ki udasi sisak uThi
main ne use bhi rakh liya raKHt-e-safar ke bich
thakne ke hum nahin the magar ab ke yun hua
deta raha fareb sitara safar ke bich
mera sabhi ke sath rawayya hai ek sa
'shahid' mujhe tamiz nahin KHair o shar ke bich
Ghazal
Zanjir kaT ke kya giri aadhe safar ke bich
Shahid Zaki

