zanjir-e-junun kuchh aur khanak hum raqs-e-tamanna dekhenge
duniya ka tamasha dekh chuke ab apna tamasha dekhenge
ek umr hui ye soch ke hum jate hi nahin gulshan ki taraf
tum aur bhi yaad aaoge hamein jab gul koi khilta dekhenge
kya faeda aise manzar se kyun KHud hi na kar len band aankhen
itni hi baDhegi tishna-labi hum aap ko jitna dekhenge
tum kya samjho tum kya jaano furqat mein tumhaari diwane
kya jaaniye kya kya dekh chuke kya jaaniye kya kya dekhenge
hone do andhera aaj ki shab gul kar do charaghon ke chehre
hum aaj KHud apni mahfil mein dil apna hi jalta dekhenge
'naushad' hum un ki mahfil se is waste uTh kar aae hain
parwanon ka jalna dekh chuke ab apna taDapna dekhenge
Ghazal
Zanjir-e-junun kuchh aur khanak hum raqs-e-tamanna dekhenge
Naushad Ali