zang-alud zaban tak pahunchi honTon ki miqraaz
KHamoshi ki jhil mein Dubi pasmanda aawaz
kaghaz par uljhate rahiye shabdon ki zanjir
aate aate aa jaega likhne ka andaz
haal ka matam karte karte aankhen KHushk huin
mustaqbil ki soch raha hai mazi ka nabbaz
KHushiyon ki dhundli taswiren rone ki tamhid
ashkon ki kali parchhain hansne ka aaghaz
aao suraj noch ke andhi aankhon mein bhar len
kab tak aaKHir chaTi jae tariki ki bayaz
Ghazal
Zang-alud zaban tak pahunchi honTon ki miqraaz
Sultan Akhtar