اردو हिंदी
Zamzama iztirab kuchh bhi na tha | Shaahi Shayari
zamzama iztirab kuchh bhi na tha

Ghazal

Zamzama iztirab kuchh bhi na tha

Sajjad Baluch

;

zamzama iztirab kuchh bhi na tha
ishq-e-KHana-KHarab kuchh bhi na tha

mera sab kuchh tha sirf ek sawal
aur is ka jawab kuchh bhi na tha

sans tak to gine-chune hue the
kuchh na tha be-hisab kuchh bhi na tha

sajda-e-shukr ne bachaya hai
warna mera sawab kuchh bhi na tha

ab tujhe dekh kar ye jaana hai
wo jo dekha tha KHwab kuchh bhi na tha