اردو हिंदी
Zaminon mein sitare bo raha hun | Shaahi Shayari
zaminon mein sitare bo raha hun

Ghazal

Zaminon mein sitare bo raha hun

Hashim Raza Jalalpuri

;

zaminon mein sitare bo raha hun
mujhe hargiz na kahna ro raha hun

gawahi den samundar chand sahil
akela hun kabhi main do raha hun

use lauTa diya main ne ye kah kar
abhi jao abhi main so raha hun

mohabbat ki kahani bhi ajab hai
jise paya nahin tha kho raha hun

purane par nae kuchh zaKHm kha kar
lahu se main lahu ko dho raha hun

duaon ke wasile se main 'hashim'
yahan ka tha wahan ka ho raha hun