zamin tashkil de lete falak tamir kar lete
hum apne aap mein hote to sab taqdir kar lete
inhi rahon pe chalne ki koi tadbir kar lete
agarche KHak uDti, KHak ko iksir kar lete
nahin tha sar mein sauda baam-o-dar ka is qadar warna
zamana dekhta kya kya na hum tamir kar lete
ye mohlat bhi baDi shai thi hamein ai kash mil jati
kisi din baiThte kar-e-jahan tahrir kar lete
KHalish baqi na hoti to bhala kya lutf rah jata
tujhe tasKHir karna chahte tasKHir kar lete
nahin guftar ki lazzat ye jazbe ki karamat hai
agar jazba nahin hota to kya taqrir kar lete
mohabbat mein junun ki barkaten shamil jo ho jatin
adhure KHwab the puri magar tabir kar lete

Ghazal
Zamin tashkil de lete falak tamir kar lete
Shahid Latif