اردو हिंदी
Zamin tang hai yarab ki aasman hai tang | Shaahi Shayari
zamin tang hai yarab ki aasman hai tang

Ghazal

Zamin tang hai yarab ki aasman hai tang

Shams Ramzi

;

zamin tang hai yarab ki aasman hai tang
ye kya ki bandon pe paiham tera jahan hai tang

mere sawal ka koi jawab kya deta
ki tere shahr mein har shaKHs ki zaban hai tang

karun to kaise karun harf-e-muddaa aaghaz
ghazal ke waste lafzon ka aasman hai tang

faza mein uDte parinde ki KHair ho yarab
ki us ka tir baDa hai magar kaman hai tang

nizam nau mein nae tajrabaat kaise karen
dil-o-dimagh ki har shaKHs ke uDan hai tang

mere KHuda use aazad kar ye achchha hai
hisar-e-jism mein har waqt meri jaan hai tang

agarche KHud wo bahut tang-zehan-o-dil hai magar
amir-e-shahr ko duniya ka har makan hai tang

parinde chiKH rahe hain ye kis ki hijrat par
ye kis ke waste yarab tera jahan hai tang

sukun-nawaz hain TuTi haweliyan lekin
ye aur baat ki shishe ka bhi makan hai tang

kise sunaun main apni shikast ka qissa
wo lafz aur wo lahja wo dastan hai tang