اردو हिंदी
Zamin se uTThe hain ya aasman se aae hain | Shaahi Shayari
zamin se uTThe hain ya aasman se aae hain

Ghazal

Zamin se uTThe hain ya aasman se aae hain

Khawaja Javed Akhtar

;

zamin se uTThe hain ya aasman se aae hain
ye log shahr mein jaane kahan se aae hain

unhin ko haq hai bahaaron ke KHair maqdam ka
guzar ke jo kisi daur-e-KHizan se aae hain

hadaf koi ho kahin ho yaqin hai mujh ko
ye sare tir usi ki kaman se aae hain

wahan se lauT ke aane ka dil na karta tha
palaT ke shahr mein apne jahan se aae hain

ye kaun log hain milne ke waste hum se
idhar udhar se yahan se wahan se aae hain