zamin se ta-falak chhai hui hai raushni-e-la
ye sara shahr hai meri nazar mein aankh ka dhoka
samundar mein nadi ban kar utar jaun kahan tak main
nigal jaega pani ek din sara badan mera
ugal degi zamin sab aag ek din apne andar ki
rakhe kab tak bhala ye bojh sine par pahaDon ka
nagar ko log khulta sa ek aaina samajhte the
magar mujh ko nazar aaya koi chehra na apna sa
use mein DhunDhta tha raat ki gahri KHamoshi mein
na jaane kis tarah phir shahr mein mera hua charcha
Ghazal
Zamin se ta-falak chhai hui hai raushni-e-la
Premi Rumani