zamin se ta-ba-falak dhund ki KHudai hai
hawa-e-shahr-e-junun kya payam lai hai
piya hai zahr bhi aab-e-hayat bhi lekin
kisi ne tishnagi-e-jism-o-jaan bujhai hai
ye koi zid hai ki hai rasm-e-ashiqi hi yahi
hawa ke ruKH pe jo sham-e-wafa jalai hai
ye kam nahin ki taraf-dar hain mere kuchh log
hunar ki warna yahan kis ne dad pai hai
musafiran-e-rah-e-shauq aur tez qadam
ki chand gam hi ab manzil-e-judai hai
Ghazal
Zamin se ta-ba-falak dhund ki KHudai hai
Shahryar

