zamin se chal ke to pahuncha hun aasman tak main
safar ka bojh uThae phirun kahan tak main
azal wajud safar raste ki dhund adam
qusur-war hun tartib-e-dastan tak main
sukun-e-zist ibarat tha jis ki yaadon se
bhula chuka hun wo harf-e-qarar-e-jaan tak main
ye soch kar na koi raste mein luT jae
diye jalata chala ku-e-dilbaran tak main
main zindagi ki inayat se nahin mahrum
qarib hun gham-e-dil se gham-e-jahan tak main
na farsh mera Thikana na arsh mera maqam
ye aur baat zamin par hun aasman tak main
Ghazal
Zamin se chal ke to pahuncha hun aasman tak main
Abid Hashri