zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai
zara parwaz-e-musht-e-KHak to dekho kahan tak hai
talash-o-justuju ki had faqat nam-o-nishan tak hai
suragh-e-karwan bhi bas ghubar-e-karwan tak hai
jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de
ye zauq-e-bandagi mahdud sang-e-astan tak hai
sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja
wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai
baDhae ja qadam rah-e-talab mein shauq se 'wahshi'
ki had-e-sai-e-la-hasil faqat kaun-o-makan tak hai
Ghazal
Zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai
Vahshi Kanpuri