zamin sarakti hai phir saeban TuTta hai
aur us ke baad sada aasman TuTta hai
main apne-ap mein taqsim hone lagta hun
jo ek pal ko kabhi tera dhyan TuTta hai
koi parinda sa par kholta hai uDne ko
phir ek chhanake se ye KHak-dan TuTta hai
jise bhi apni safai mein pesh karta hun
wahi gawah wahi mehrban TuTta hai
na hum mein hausla-e-KHud-kushi ki mar jaen
na hum se qufl-e-dar-e-pasban TuTta hai
zakat-e-ishq agar banTne pe aa jaun
to ek hujum-e-talab mujh pe aan TuTta hai
jo aandhiyan sar-e-sahra-e-hijr uThti hain
un aandhiyon mein 'raza' naKHl-e-jaan TuTta hai
Ghazal
Zamin sarakti hai phir saeban TuTta hai
Hasan Abbas Raza