اردو हिंदी
Zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main | Shaahi Shayari
zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main

Ghazal

Zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main

Javed Nasir

;

zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main
mujhe KHabar hai tumhaara sa ho gaya tha main

bala-e-jaan thi magar kitna phuT kar roi
nadi ke beach kinara sa ho gaya tha main

kisi ne meri matanat ka jab sabab puchha
bas ek pal mein bechaara sa ho gaya tha main

badan ko ruh ne hamwar kar liya lekin
use jo dekha kanwara sa ho gaya tha main

main nek-nam na ruswa magar sar-e-mahfil
ye aur baat gawara sa ho gaya tha main

bahut KHilaf thi aankhen bahut udas tha din
KHud apne ghar mein nazara sa ho gaya tha main