zamin pe rah ke dimagh aasman se milta hai
kabhi ye sar jo tere aastan se milta hai
isi zamin se isi aasman se milta hai
ye kaun deta hai aaKHir kahan se milta hai
suna hai luT liya hai kisi ko rahbar ne
ye waqia to meri dastan se milta hai
dar-e-habib bhi hai but-kada bhi kaba bhi
ye dekhna hai sakun ab kahan se milta hai
talab na ho to kisi dar se kuchh nahin milta
agar talab ho to donon jahan se milta hai
wahin chalo wahin ab hum bhi hath phailaen
'shamim' sare jahan ko jahan se milta hai

Ghazal
Zamin pe rah ke dimagh aasman se milta hai
Shamim Jaipuri