zamin pe maktab-e-adam ka ek nisab hai ishq
likhi gai jo azal mein wahi kitab hai ishq
hudud-e-zat ke andar bhi shor-o-shar us ka
hudud-e-zat ke bahar bhi iztirab hai ishq
junun ki tah se jo ubhre to gauhar-e-nayab
hawas ki mauj pe aae to ek habab hai ishq
kisi sawal ki surat hai kaenat tamam
aur is sawal ka aasan sa jawab hai ishq
sameT len jo nigahen to husn-e-laila tak
bikher den jo faza mein to be-hisab hai ishq
waraq waraq pe hai bikhra mere wajud ka rang
ye kis ke hath ki likkhi hui kitab hai ishq
faza-e-laila-e-shab mein hai raushni us ki
'ziya'-e-naKHwat-e-shirin ka aaftab hai ishq

Ghazal
Zamin pe maktab-e-adam ka ek nisab hai ishq
Zia Faruqi