zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya
mera wajud kahin darmiyan dikhai diya
har ek samt yaqin ki naqab oDhe hue
har ek paikar-e-wahm-o-guman dikhai diya
siyah chand sitare siyah suraj tha
suna hai us ko ajab ek saman dikhai diya
wo mera main tha ki main tha ya mera saya tha
kal aaine mein koi bad-guman dikhai diya
adhuri shakl adhuri nazar adhura wajud
ajib shaKHs mujhe kal wahan dikhai diya
Ghazal
Zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya
Abrar Azmi