اردو हिंदी
Zamin par shor-e-mahshar roz o shab hota hi rahta hai | Shaahi Shayari
zamin par shor-e-mahshar roz o shab hota hi rahta hai

Ghazal

Zamin par shor-e-mahshar roz o shab hota hi rahta hai

Irfan Siddiqi

;

zamin par shor-e-mahshar roz o shab hota hi rahta hai
hum apne git gaen ye to sab hota hi rahta hai

ye hum ne bhi suna hai aalam-e-asbab hai duniya
yahan phir bhi bahut kuchh be-sabab hota hi rahta hai

teri KHatir kai sachchaiyon se kaT gae rishte
mohabbat mein to ye tark-e-nasab hota hi rahta hai

musafir raat ko is dasht mein bhi ruk hi jate hain
hamare dil mein bhi jashn-e-tarab hota hi rahta hai

koi shai tasht mein hum sar se kam qimat nahin rakhte
so aksar hum se nazrana talab hota hi rahta hai