zamin par sar-nigun baiTha hua hun
aur apna reza reza chun raha hun
agar uljhan nahin koi to kyun main
musalsal sochta hun jagta hun
asir-e-roz-o-shab hai zindagani
main is takrar se ukta gaya hun
meri uryaniyon par shor kyun hai
agar andhon mein nanga ho gaya hun
tum apni raushni mahfuz rakhna
tumhaare waste main bujh raha hun
kahan tak bhagta ai shahr walo
so ab main qatl hone aa gaya hun
Ghazal
Zamin par sar-nigun baiTha hua hun
Tasleem Ilahi Zulfi