zamin par raushni hi raushni hai
KHala mein ek kiran gum ho gai hai
main tanha ja raha hun su-e-manzil
ye parchhain kahan se aa rahi hai
ye sham aur raushni ki ye qataren
udasi aur gahri ho gai hai
uruj-e-mah hai aur maqbaron par
abad ki chandni chaTki hui hai
ubhaar ai mauj-e-tufan-KHez mujh ko
ye kashti ret mein Dubi hui hai
hawa se hai kali jumban sar-e-shaKH
ye kin hathon mein neze ki ani hai
gira hai shaKH-e-gul se ek pata
kisi ne kya mujhe aawaz di hai
Ghazal
Zamin par raushni hi raushni hai
Rais Amrohvi