اردو हिंदी
Zamin par fasl-e-gul aai falak par mahtab aaya | Shaahi Shayari
zamin par fasl-e-gul aai falak par mahtab aaya

Ghazal

Zamin par fasl-e-gul aai falak par mahtab aaya

Shakeel Badayuni

;

zamin par fasl-e-gul aai falak par mahtab aaya
sabhi aae magar koi na shayan-e-shabab aaya

mera KHat paDh ke bole nama-bar se ja KHuda-hafiz
jawab aaya meri qismat se lekin la-jawab aaya

ujale garmi-e-raftar ka hi sath dete hain
basera tha jahan apna wahin tak aaftab aaya

'shakil' apne mazaq-e-did ki takmil kya hogi
idhar nazron ne himmat ki udhar ruKH par naqab aaya