zamin par bas lahu bikhra hamara
abhi bikhra nahin jazba hamara
hamein ranjish nahin dariya se koi
salamat gar rahe sahra hamara
mila kar hath suraj ki kiran se
muKHalif ho gaya saya hamara
raqib ab wo hamare hain jinhonne
namak ta-zindagi khaya hamara
hai jab tak sath banjara-mizaji
kahan manzil kahan rasta hamara
talluq tark kar ke ho gaya hai
ye rishta aur bhi gahra hamara
bahut koshish ki lekin juD na paya
tumhaare nam mein aadha hamara
idhar sab hum ko qatil kah rahe hain
udhar KHatre mein tha kunba hamara
Ghazal
Zamin par bas lahu bikhra hamara
Siraj Faisal Khan