اردو हिंदी
Zamin par aasman kab tak rahega | Shaahi Shayari
zamin par aasman kab tak rahega

Ghazal

Zamin par aasman kab tak rahega

Ajmal Siraj

;

zamin par aasman kab tak rahega
ye hairat ka makan kab tak rahega

nazar kab aashna-e-rang hogi
tamasha-e-KHizan kab tak rahega

rahegi garmi-e-anfas kab tak
ragon mein KHun rawan kab tak rahega

haqiqat kab asar-andaz hogi
KHasare mein jahan kab tak rahega

badal jaenge ye din raat 'ajmal'
koi na-mehrban kab tak rahega