zamin panw tale sar pe aasman liye
nida-e-ghaib ko jata hun bahre kan liye
main baDh raha hun kisi rad-e-abr ki jaanib
badan ko tark kiye aur apni jaan liye
ye mera zarf ki main ne asasa-e-shab se
bas ek KHwab liya aur chand shama-dan liye
main sath-e-ab pe apne qadam jama lunga
badan ki aag liye aur kisi ka dhyan liye
main chal paDunga sitaron ki raushni le kar
kisi wajud ke markaz ko darmiyan liye
parinde mera badan dekhte the hairat se
main uD raha tha KHala mein ajib shan liye
qalil waqt mein yun main ne irtikaz kiya
bas ek jahan ke andar kai jahan liye
abhi to mujh se meri sans bhi thi na-manus
ki dast-e-marg ne neze badan pe tan liye
zamin khaDi hai kai lakh nuri salon se
kisi hayat-e-musalsal ki dastan liye

Ghazal
Zamin panw tale sar pe aasman liye
Rafiq Sandelvi