zamin ne lafz ugaya nahin bahut din se
kuchh aasman se bhi aaya nahin bahut din se
ye shahr wo hai ki koi KHushi to kya deta
kisi ne dil bhi dukhaya nahin bahut din se
ajib log hain bas raston mein milte hain
kisi ne ghar hi bulaya nahin bahut din se
tujhe bhulana to mumkin nahin magar yunhi
tera KHayal hi aaya nahin bahut din se
namaz kaise paDhun main baghair pak hue
ki aansuon mein nahaya nahin bahut din se
hum apni mamlikat-e-dard mein akele hain
hamari koi reaya nahin bahut din se
mufahamat si ajab ho gai hai raat ke sath
charagh main ne jalaya nahin bahut din se

Ghazal
Zamin ne lafz ugaya nahin bahut din se
Farhat Ehsas