اردو हिंदी
Zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain | Shaahi Shayari
zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain

Ghazal

Zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain

Abdul Aziz Khalid

;

zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain
makan nasib nahin la-makan mein rahte hain

wo Dol Dalen kisi kar-e-paedar ka kya
jo be-sabaati-e-umr-e-rawan mein rahte hain

hum aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas mein bhi
hisab-e-KHar-o-KHas-e-ashiyan mein rahte hain

na bud-o-bash ko puchho ki hum faqir-manash
suKHan ke mabad-e-be-saeban mein rahte hain

kahan talash karoge hamein ki hum to mudam
huzuri-e-dil-e-be-KHanuman mein rahte hain

nashe ki lahr mein KHum KHum lunDha ke aab-e-hayat
sarab-e-zindagi-e-jawedan mein rahte hain

nai mohabbaten 'KHalid' purani dostiyan
azab-e-kashmakash-e-be-aman mein rahte hain