اردو हिंदी
Zamin nahin ye meri aasman nahin mera | Shaahi Shayari
zamin nahin ye meri aasman nahin mera

Ghazal

Zamin nahin ye meri aasman nahin mera

Abrar Ahmad

;

zamin nahin ye meri aasman nahin mera
mata-e-KHwab ba-juz kuchh yahan nahin mera

ye unT aur kisi ke hain dasht mera hai
sawar mere nahin sar-ban nahin mera

mujhe tumhaare tayaqqun se KHauf aata hai
ki is yaqin mein shamil guman nahin mera

main ho gaya hun KHud apne safar se begana
ki nind meri hai KHwab-e-rawan nahin mera

to aab o KHak se bach kar kidhar ko jata main
dawam-e-wasl hai baqi nishan nahin mera

phir ek din usi miTTi ko lauT jaunga
gurez tujh se rah-e-raftagan nahin mera

sada-e-shahr-e-guzishta abhi bulati hai
go ab aziz koi bhi wahan nahin mera