اردو हिंदी
Zamin madar se apne agar nikal jae | Shaahi Shayari
zamin madar se apne agar nikal jae

Ghazal

Zamin madar se apne agar nikal jae

Iqbal Naved

;

zamin madar se apne agar nikal jae
na jaane kaun sa manzar kidhar nikal jae

ab aaftab sawa-neze par utarna hai
girift-e-shab se zara ye sahar nikal jae

samar gira ke bhi aandhi ki KHu nahin badli
yahi nahin ki jaDon se shajar nikal jae

ab itni zor se har ghar pe dastaken dena
agar jawab na aae to dar nikal jae

main chal paDa hun to manzil bhi ab milegi 'nawed'
ye rasta mujhe le kar jidhar nikal jae