zamin lapeTta hai aasman sameTta hai
kahan ki baat ko ye dil kahan sameTta hai
husain rifaten taqsim karta hai ab bhi
yazid aaj bhi ruswaiyan sameTta hai
wahin pe gardishen ruk sakti hain zamane ki
wo jast bharta hai aur par jahan sameTta hai
use batana ki tum jab kahin bhi TuTte ho
tumhaari kirchiyan koi yahan sameTta hai
kisi mein 'nadiya' juz ishq itna zarf kahan
hai kaun bikhre dilon ko jo yan sameTta hai
Ghazal
Zamin lapeTta hai aasman sameTta hai
Nadiya ambar lodhi