اردو हिंदी
Zamin ko sajda kiya KHun se ba-wazu ho kar | Shaahi Shayari
zamin ko sajda kiya KHun se ba-wazu ho kar

Ghazal

Zamin ko sajda kiya KHun se ba-wazu ho kar

Saleem Shahid

;

zamin ko sajda kiya KHun se ba-wazu ho kar
main razm-gah se lauTa hun suraKH-ru ho kar

jahan mein phail gai dud-e-shoala se zulmat
falak pe bah gaya suraj lahu lahu ho kar

mujhe tha dam-e-asiri nasheb dariya ka
uchhal gaya main kinaron se tund-KHu ho kar

gurez-pai ko hai gumrahi ka dasht-e-bala
KHat-e-safar to chamakta hai aab-ju ho kar

wo lams zaiqa jis ne meri zaban ko diya
bikhar na jae kahin saut-e-guftugu ho kar

kiya hai pursish-e-ahwal-e-zaKHm ne ruswa
ye chaak aur numayan hua rafu ho kar

rahi na TuT ke girne se meri yaktai
main pash pash hua KHud se du-ba-du ho kar

zaban-e-KHalq pe shahid main harf-e-talKH raha
uDi na KHak meri gard-e-abru ho kar