zamin ki had agar koi nahin hai
to phir mera bhi ghar koi nahin hai
qafas mein band hai parwaz meri
umid-e-baal-o-par koi nahin hai
hunar un ko sikhata phir raha hun
magar KHud mein hunar koi nahin hai
KHabar aKHbar mein aae na aae
KHabar se be-KHabar koi nahin hai
yahan to bas paDaw hai hamara
hamara apna ghar koi nahin hai
ye shahr-e-arzu hai 'ghaus' aisa
jahan hadd-e-nazar koi nahin hai
Ghazal
Zamin ki had agar koi nahin hai
Ghous Mathravi