zamin ki god mein baiTha humak raha hun main
falak pe chand ki jaanib lapak raha hun main
nahin hai apni zamin ki koi KHabar lekin
KHala mein dur kisi shai ko tak raha hun main
naha gaya hun KHud apne lahu mein sar-ta-pa
junun ki aag mein lekin dahak raha hun main
agarche zulmat-e-shab mein kami nahin aai
misal-e-mah-e-daraKHshan chamak raha hun main
har ek samt badalti ruton ka matam hai
shagufta ghunche ki surat chaTak raha hun main
parakhne wale mujhe dekh is tarah bhi zara
agar hai khoT to kaise chamak raha hun main
giri hi jati hai diwar-e-girya har lahza
kisi ki aankh se shayad Dhalak raha hun main
tamam shahr ne didar kar liya 'kausar'
ab apni lash ke chehre ko Dhak raha hun main
Ghazal
Zamin ki god mein baiTha humak raha hun main
Kausar Niyazi