zamin KHatm hui sar par aasman na raha
isi ke sath koi KHauf-e-imtihan na raha
hamare ishq ka koi gawah zinda nahin
azab-e-hijr tha ab wo bhi darmiyan na raha
tamam-raat sitare hamin ko dekhte the
tilism-e-zat se nikle to ye jahan na raha
fasil-e-shahr pe shab-zinda-dar rahte the
hujum-e-shahr mein aisa koi jawan na raha
ye zindagi hai to hum zindagi se baz aae
wo jaan kya ki jahan jaan ka ziyan na raha
tamam lafz hain tafhim-e-nau pe aamada
qayamaton se guzarna bhi na-gahan na raha
bas ek saliqa-e-tajsim KHwab tha magar ab
siwae sina-e-sad-chaak kuchh nishan na raha
miyan-e-gardish-e-aflak tu bhi KHush ho ja
malal hum ko bhi ai sai-e-raegan na raha
KHarab-o-KHasta-o-asudagan-e-manzil bhi
nawed-e-jashn ki 'haqqi' ka karwan na raha
Ghazal
Zamin KHatm hui sar par aasman na raha
Abul Hasanat Haqqi

